Friday, May 4, 2012

Shiv Shankar Ko Magan Dekh Kar Bhasmasur Aage Aaya


Apni karni ka fal pate
Jag mein murakhkari
Bhasmasur mohini bani hai uski amar kahani

Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya

Shiv Shankar Ko Magan Dekh Kar
Bhasmasur Aage Aaya
Dedo prabhu vardan
Dedo prabhu vardan bhakt ne apna sheesh jhukaya
Umanath ne haath uthakar usko var de dala
Jiske sir par haath dharoge, bhasm karegi jwala

Bhool gaya mata ka naata
Yeh paapi abhimaani
Bhasm karu mein Shiv Shankar ko usne mann mein thani.

Parvati ke pane ko Shiv Ji par haath badaya
Kaanp uthe Shankar Pralayankar
Paapi Peeche Dhaya
Dola Ambar Doli Dharti
Kaanpa Sagar Pani
Vishnulok ke dware goonji dukhiyaron ki vaani
Hey Narayan
Hey Narayan
Hey Narayan

No comments:

Post a Comment